Monday, November 3, 2008

jeevan ka gaan kiya

i love this HRB poem, this is the standard disclaimer, i write them from memory so forgive my mistakes.

maine jeevan dekha jeevan ka gaan kiya

vo pat le aayee
boli ek tarf
jeevan usha ki laal kiran
ugta taruvar
behta paani
kharchonch daba kar udta panchi
choota amber ko dharti ka aanchal dhaani
aur doosri taraf
hai maut
marusthal ki sandhya me rakh
dhuen me dhasa hua kankal pada
maine jeevan dekha
jeevan ka gaan kiya

main kabhi kahin par safar khatm kar dene ko taiyaar sada tha
is me bhi thi kya mushkil
chalna hi jiska kaam raha ho jeevan me
har ek kadam par hai uski manzil
jo kal par kaam utthata ho
vo pachtaye
maine kal par kab aaj bhala balidaan kiya
maine jeevan dekha
jeevan ka gaan kiya

kaali
kaale keshon me kala kamal sajaye
chupke chupke aayee
main ujle mukh
ujle vastron me baitha tha sustane ko
path par thi ujyali chaayi
tum kaun
maut
main jeene ki hi jog jugat me laga raha
boli swagat ka mere tune sab se achha saaman kiya
maine jeevan dekha
jeevan ka gaan kiya

No comments: