Tuesday, November 4, 2008

vo saath chalna zid thi meri

vo saath chalna zid thi meri
us ne kab mujhko pukaara tha
mere vahm ka khel tha sara
kahan chahiye usko sahara tha
phir toote sapno ka dard ho
ki uske hasne ki jalan
maine khud is aag ko lagaya hai
usme kahan ye dam tha

maine banaya tha
mujh hi ko todna hoga
in haathon se buna
ab taar taar kholna hoga
mujhe mere sapno ne chala hai
uske jaadu me kahan ye dank tha.

No comments: